Urdu News

Urdu Now

Showing posts with label Urdu Articles. Show all posts
Showing posts with label Urdu Articles. Show all posts

Hamesha ALLAH Se Mango In Urdu

Jan 7, 2015
Dua Ek Aisa Lafz Hai Jo Insaan Ki Zindagi Badal Deta Hain. ALLAH Ko Dua Mange Wala Banda Bohot Azizi Hota Hai Qk Wo Apni Pareshani ALLAH K Sath Share Karta Hai. Hadis Me Aya Hai K Jis Shaks Ki Dua Qabool Nahi Hoti Jaldi ALLAH Ko Uski Pukaar Bohot Achi Lagti Hai ALLAH Chahta Hai K Wo Banda Bar Bar Uske Samne Aaye Use Apni Hajat Btaye. To Duao Ka Der Se Qabool Hona Bhi ALLAHH Hi Ki Taraf Se Hota Hai Humein Kabhi Mayus Nahi Hona Chahiye... ALLAH Farmata Hai ' Jab Banda Mere Samne Hath Phehlata Hai To Mujhe Sharm Aati Hai Us Hatho Ko Khali Haath Lautane..' To Hum Soch Sakte Hai K ALLAH Hum Bando Se Kitni Zyada Mohabbat Karta Hai...

DUA Karne Wala Kabhi Khali Hath Nahi Rehta Kuch Na Kuch To ALLAH Se Le K Hi Jata Hai. Agar Dua Qabool Hui To Usski Khwahish Puri Ho Jati Hai Or Nahi Hui To Bhi Usme Koi Bhalai Chupi Hoti Hai Jo Humein Nazar Nhi Aati Lekin Wo Dua Radd Nahi Jati Balke Uska Bohot Zyada Sawaab Bande K Liye Aakhirat Me Jama Hota Rehta Hain. Hadis Me Aata Hai K Jab Bande Ko Aakhirat Me Uske Sawaab Ginaye Jayenge To Usme Uski Qabool Na Hone Wali Duaein Bhi Hongi ALLAH Ek Ek Dua Yaad Kra K Uska Badla Denge Jab Banda Khwahish Krega K A! Kashh! K Meri Koi Bhi Dua Duniya Me Qabool Na Hui Hoti
Read more ...

ALLAH Ka Khoof In Urdu

Jan 7, 2015
Assalamu Alaikum!

Insaan Itna Aage Nikal Chuka Hai K Use Ab Kisi Ka Bhi Khuaf Nahi Hota Yaha Tak K Uske Banane Wale Ka Bhi Nahi... Hum Din O Raat Gunaah K Kaam o Me Lage Rehte Hai Ye Jante Hue Bhi K Maut Ka Koi Waqt Mukarrar Nahi, Hum Jante Hai K ALLAH Humein Dekh Raha Hai Phor Bhi Uska Khauf Humare Dil Me Nhi Utarta... Aakhir Q? Kya Hum Apne ALLAH Ki Baato Par Bharosa Nahi Krte ? Nauzubillahh. Hadis Me Aata Hain K Jab Banda Sab Se Chup Kar Koi Gunahh Karta Hai To ALLAH Farmata Hai K A Bande Kya Tujhe Sab Rishte Naaato Me Me Hi Sab Se Kamtar Laga Jo Tu Duniya Se Chup Kar Gunaah Krna Gawara Smjha Lekin Mujh Se Nahi... To Sochiye K Hum Itne Kaise Gir Sakte Hain. Nabi K Zamane Me Ek Sahaba Bhagte Hue Nabi (S.A.W) K Pass Aaye Or Bole K Me Munafiq Ho Gaya Puchne Pr Bole K Jab Me Apke Samne Hota Hu To Goya Jahannum Or Jannat Mere Aankho K Samne Hote Hai Lekin Jaise Hi Me Ghar Jata Hu To Biwi Bacho Me Masroof Ho Jata Hu To Kahi Me Munafiq To Nahi Ho Gyaa.. Zara Sochiye Sahaba Jin Par ALLAH Ne Jannat Farz Kar Di Thi Wo Bhi Itna Darte The Or Ek Hum Hai Jo Itne Gunaho K Baad Bhi Nhi Darte.

Duniya Me Agar Hum Kisi Chizz Se Darte Hai To Usse Dur Ho Jate Hain Lekin Agar Hum Allahh Se Darte Hai To Uske Or Bhi Qareeb Ho Jate Hain. ALLAH Apne Bando Se Bohot Zyada Pyar Karta Hai Or Wo Nahi Chahta K Hume Azaab Ho Isiliye Usne Hume Momin Banaya Deen Ki Samajh Di. Ab Ye Hum Par Hai K Hum Apni Mohabbat Ka Izhaar ALLAH Se Kaise Karte Hai...

ALLAH Hum Sab Ummation Ko Hidayat Or Sahi Raste Par Chalne Ki Taufiq Ata Farmaye Aameen!
Read more ...

Sadakkah Ehsan Nahi Hai In Urdu

Jan 7, 2015
Sadaka Ya Khairat Kisi Bhi Kisam Ki Razakarana Khidmat Hai Jo Ek Banda Apne Khuda Ko Razi Karne K Lye Deta Hai.......

Sadka Kisi Bhi Soorat Me Dya Jaskta Jesay Kisi Ko Pesay Dena Kapre Dena Muskura Dna Lekn Sb Se Bara Sadka Roti Ka Hota Hai Yani Kisi Bhookay Ko Khana Khilana...

Irshad E Rabbani Hai K"Aye Momino Apne Sadakat O Khairat Ehsan Jata Kar Aur Gareebo Ka Dil Dukha Kar Is Shaks Ki Trha Khak Me Na Mila Do Jo Mehaz Logo Ko Dikhane Ke Lyekharch Karta Hai"

Alla Ta'lla Ki Raha Me Jo Kharach Kya Jaye Wo Mehz Uski Khushnudi Aur Raza K Lye Kya Jaye Is Me Kisi Bhi Kisam Ki Lalch Ya Garx Na Ho, Riya Kari Achay Se Achay Amal Ko Bhi Khak Me Mila Deti Hai.Zakat Khulam Khula Di Jaye Jabkay Sadka Chupa Kr Dya Jaye Takay Zyadase Zyda Ikhlas Paida Ho.Allah Ta'lla Ki Nazar Me Usi Kam Ki Keemat Hai Js Me Ikhlas Ho Na Kay Dikhawa.Kayamat K Haibat Nak Madan Mejab Koi Sayya Nahi Hoga Allah Ta'lla Apne Un Bando Ko Saye Talay Rakhyga Jinho Ne Intehai Poshida Tareekay Se Allah Ki Raha Me Kharch Kya Yahan Tak Kbayen Hath Ko Ye Khabar Ni Hogi Ke Dayen Hath Ne Kya Kharch Kya.....

Sadka Sirf Aur Sirf Bari Ta'lla Ki Raza K Lye Dya Jaye Na Kay Dikhawe K Lye Taky Gareeb Aur Miskkeno Ki Zyada Se Zyada Madad Hosakay.Aur Khuda Pak Ki Raza Aur Khushnudi Bhi Hasil Hoskay.
Read more ...

Fitna Dajal Sy B Barha Fitna Dikhawy Ki Nimaz In Urdu

Jan 6, 2015
http://www.ahadees.com/images/ahadees/group/g701.gif
Read more ...

Nimaz Ka Fiada In Urdu

Jan 6, 2015
http://www.ahadees.com/images/ahadees/group/g120.gif
Read more ...

Rasool ALLAH (S.A.W) Ne Matam Se Mana Kia

Jan 6, 2015
Read more ...

Ghous-e-Azam Siraf ALLAH Hai

Jan 6, 2015
Read more ...

Murday Nahi Suntay: Imam Abu Hanifah (R.A)

Jan 6, 2015
Read more ...

Kya Koi Muslman Shirk Kar Skta Hai ?

Jan 6, 2015
Read more ...

ALLAH Arsh Par Hai: Abdul Qadir Jilani (R.A)

Jan 5, 2015
Read more ...

Qabar Ko Paka Krna Aur Majawer Ban K Baithna Haram Hai

Jan 5, 2015
Read more ...

Dua of Istikhara With Urdu Translation

Jan 5, 2015
Read more ...

Eid-ul-Milad-u-Nabi Manaty Huye Gustakhi In Urdu

Jan 5, 2015



ALLAH ham ko Hdayat farmay...
Read more ...

Eid-ul-Milad-u-Nabi Manany Men Hamara Iman In Urdu

Jan 5, 2015


Aj hamara yehi hal ho chuka hai Ham ne Peeegham Bhula dya hai
Read more ...

Eid-ul-Milad-u-Nabi Bohat Bari Biddat Bany Gi In Urdu

Jan 5, 2015


Agar ap mutfiq hain to apna Comment karen Lazmi
Read more ...

Ya Ali Madad, Ya Ghous Madad Is Shirk

Jan 5, 2015
Read more ...

Najoomi Ke Pas Jana Haram Hai

Jan 4, 2015
Read more ...

Anbiya Ke Waseela Se Dua Krna Jaiz Nahi

Jan 4, 2015
Read more ...

Allah Waris Ya Ali Waris In Urdu

Jan 4, 2015
Read more ...

Insan Aur Uska Imtehaan

Dec 30, 2014
ALLAH Talah Ny Insan Ko Ashraf Ul Makhloqaat Bnaya Ha.Hazrat ADAM A.S Ko Duniya Ki Tmam Cheezon K Naam Sikha Kr Dosri Tmam Makhlokaat Pr Tarjeeh De Gae.Yani Insaan Ko Ashraf Ul Makhloqaat Ka Darja Us K Ilm Aur Aqal Ki Bunyad Pr Ataa Kiya Gya..Warna Khwahishat Aur Ahsasaat Tou Janwaron K B Hty Hain..Bhook Aur Dard Ki Shidat Se Wo B Apny Andaz Mn Ahtajaj Krna Janty Hain..Ab Sawal Ye Paida Hta Ha K Ilm Aur Aqal Kia Ha..? Ilm Aur Aqal Ye Nhi K Insan Dunyavi Degreeon Ka Palanda Akhata Kr K Jazbaat Ki Roo Mn Bhatakta Chala Jae..Dunya Ki Taleem Jb Tk Insan Mn Sahi Aur Ghalat,Jaez Aur Na-Jaez K Shaur Ko Baidar Na Kr Saky Tou Wo Taleem By-Sood Ha...Aik Degree Yafta Insan Daaku Aur Choor Tou Bun Sakta Ha Lekin Haraam Aur Halal,Jaez Aur Na-Jaez Ka Shaur Rakhny Wala Dunyavi Aitabaar Se Jaahil Insan Kbhi B Chor Nhi Bun Sakta..Lehaza Insan Ko Shaur,Ilm Aur Aqal Ki Bunyad Pr Baqi Tmam Makhloqat Pr Fazilat Ata Ki Gae...Ilm Aur Aqal Ye Ha K Insan Apny Nafs Aur Khwahishat Ki Perwi Kiye Bina ALLAH Ki Raza Aur Khushnoodi K Mutabiq Amal Krta Chala Jae..ALLAH Ny Farmaya Ha K Mn Ny Insanon Aur Jinon Ko Apni Ibadat K Lia Paida Kiya..Lekin Aj Ka Insan 5 Waqt Ki Namaz Parhny Aur Roza Rakhny Ko Hi Ibadat Samjhta Ha..Wo Baaqaidgi Se Namaz Aur Rozy Ka Haq Ada Kr K Khud Ko Bht Naik Aur Parsa Taswur Krta Ha..Jb K Aesa Nhi Ha. Agr Ibadat Ka Matlab Namaz Ada Krna Aur Rozy Rakhna He Ha Tou Phr Namaz Aur Rozy Ki Adaigi K Bd Zindagi Ki Diqat Khatam Ho Jani Chahye..Ibadat Ka Mafhoom "Banda Banana" Aur "Bandagi" Ha Yani Insan Jb ALLAH Ka Banda Banta Ha Tou Hr Wo Kaam Krta Ha Jo Us Ka RUB Chahta Ha..Allah Ny Hr Insan Ko Beshumar Salahiyaton Se Nawaza Ha..Ab Ye Insan Pr Munhasir Ha K Wo Dunyavi Zimdaariyon Mn Khoo Kr Apny RUB Ko Bhool Jta Ha Ya Us RUB Ki Ataa Ki Hui Salahiyaton Ko Ehsan Tareeqy Se Istamal Krty Huy Insaniyat Ki Khidmat Kr K Ibadat Ka Darja Hasil Krta Ha.Dunya Mn Insan Ka Imtehaan He Yahi Ha K Jb Tk Wo ALLAH Ki Di Gae Zimadariyon Ko Imaan Daari Se Ada Krny K Sath Sath Uska Zikar Nhi Krta Tb Tk ALLAH Ki Ibadat Ka Haq Ada Nhi Hota...ALLAH Ny Quran Mn Irshad Farmaya Ha "Jo Mery Zikar Se Moun Mory Ga Main Us K Lia Zindagi Tang Kr Doun Ga.."(SURAH TAHA 124)
Read more ...

Ads