Urdu News

Urdu Now

ALLAH Ka Khoof In Urdu

Jan 7, 2015
Assalamu Alaikum!

Insaan Itna Aage Nikal Chuka Hai K Use Ab Kisi Ka Bhi Khuaf Nahi Hota Yaha Tak K Uske Banane Wale Ka Bhi Nahi... Hum Din O Raat Gunaah K Kaam o Me Lage Rehte Hai Ye Jante Hue Bhi K Maut Ka Koi Waqt Mukarrar Nahi, Hum Jante Hai K ALLAH Humein Dekh Raha Hai Phor Bhi Uska Khauf Humare Dil Me Nhi Utarta... Aakhir Q? Kya Hum Apne ALLAH Ki Baato Par Bharosa Nahi Krte ? Nauzubillahh. Hadis Me Aata Hain K Jab Banda Sab Se Chup Kar Koi Gunahh Karta Hai To ALLAH Farmata Hai K A Bande Kya Tujhe Sab Rishte Naaato Me Me Hi Sab Se Kamtar Laga Jo Tu Duniya Se Chup Kar Gunaah Krna Gawara Smjha Lekin Mujh Se Nahi... To Sochiye K Hum Itne Kaise Gir Sakte Hain. Nabi K Zamane Me Ek Sahaba Bhagte Hue Nabi (S.A.W) K Pass Aaye Or Bole K Me Munafiq Ho Gaya Puchne Pr Bole K Jab Me Apke Samne Hota Hu To Goya Jahannum Or Jannat Mere Aankho K Samne Hote Hai Lekin Jaise Hi Me Ghar Jata Hu To Biwi Bacho Me Masroof Ho Jata Hu To Kahi Me Munafiq To Nahi Ho Gyaa.. Zara Sochiye Sahaba Jin Par ALLAH Ne Jannat Farz Kar Di Thi Wo Bhi Itna Darte The Or Ek Hum Hai Jo Itne Gunaho K Baad Bhi Nhi Darte.

Duniya Me Agar Hum Kisi Chizz Se Darte Hai To Usse Dur Ho Jate Hain Lekin Agar Hum Allahh Se Darte Hai To Uske Or Bhi Qareeb Ho Jate Hain. ALLAH Apne Bando Se Bohot Zyada Pyar Karta Hai Or Wo Nahi Chahta K Hume Azaab Ho Isiliye Usne Hume Momin Banaya Deen Ki Samajh Di. Ab Ye Hum Par Hai K Hum Apni Mohabbat Ka Izhaar ALLAH Se Kaise Karte Hai...

ALLAH Hum Sab Ummation Ko Hidayat Or Sahi Raste Par Chalne Ki Taufiq Ata Farmaye Aameen!

No comments:

Post a Comment

Ads