La Ilaha Illa ALLAHU Muhammad ur Rasool ULLAH
Asslam-o-Alikum!
*...Kalmay ka Pehla Hissa...*
Islam ki buniyadi shart hy "La Ilaha Illa ALLAHU Muhammad ur Rasool ULLAH S.A.W." ka iqrar krna, is ka suchy dil sy samajh kr yaqeen krna or apny aamaal is kalmy k mutabiq bnana. yad rhy k sirf kalma parh leny sy koi shakhs musalman nhi ho jata, balky musalman hony or Islam mein dakhil hony k liye is kalmy k taqazy poory krna nihayat hi zroori hy. kalmy k 2 hissy hain, pehla hissa "La Ilaha Illa ALLAH" yani ALLAH k siwa koi ibadat k laiq nhi, ibadat ka matlab hy bandgi krna, jhukna, faryad krna, madad mangna, umeed rkhna wghera. ye tmam mataalib ibadat mein aaty hain. "La Ilaha Illa ALLAH" kehny sy ALLAH k siwa kisi or ki ibadat krny, ghair ULLAH k aagy jhukny, ghair ULLAH sy madad mangny, ghair ULLAH sy faryad krny or Ghair ULLAH sy umeed rkhny ki nafi ki jati hy. "La Ilaha Illa ALLAH" ka achi trha smjh kr iqrar krny k baad, is pr mazbooti sy qaim rehna or apni tmam ibaadaat ko ALLAH k liye hi khas krna is kalma tayyiba k taqazy ko pora krna hy. agr koi shakhs kalma to parhta hy, lekin faryad ghair ULLAH sy krta hy, jhukta ghair ULLAH k samny hy, umeeden ghair ULLAH sy bandhta hy, duaen ghair ULLAH sy mangta hy, to wo shakhs apny kalmy mein sucha nhi. aisa shakhs apny aap ko hi dhoka dy rha hy. nimaz mein bhi hum is baat ka iqrar krty hain: "(Ay ALLAH!) hum teri hi ibadat krty hain or tujh hi sy madad mangty hain". (Sorah e Fatiha:4) yani tery siwa kisi ki ibadat bhi nhi krty or tery siwa kisi sy madad bhi nhi mangty. lehaza ghair ULLAH sy madad mangna, ghair ULLAH sy faryad krna, ghair ULLAH k samny jhukna, ghair ULLAH sy umeed rkhna ye sb shirk Hai.
*...Kalmay ka Doosra Hissa...*
Kalmay ka doosra hissa, jis mein "Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W." ka iqraar krna, yaqeen krna, or apny tmam kaamon ko Rasool Ullah S.A.W. ki Sunnat k mutabiq krna hy. is doosry hissy ka matlab hy k k "Muhammad S.A.W., ALLAH k Rasool hain." yaad rhy k Musalmaan hony k liye zroori hy k Muhammad S.A.W. ko ALLAH ka Rasool maana jaye, or jis kaam ka hukam Rasool Ullah S.A.W. ny humain diya hy wo kiye jayen or jin kaamon sy roka hy un sy ruka jaye, or Muhammad S.A.W. k deen mein kisi qisam ki kami ya izafa na kiya jaye. balkay deen jesa aaya hy usy wesa hi maana jaye or us pr wesy hi amal kiya jaye jesy Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. or aap S.A.W. k Sahaba R.A. ny amal kr k dikhaya. apny aqaid bnanay sy pehly ye dekha jaye k kiya ye aqeedah Rasool Ullah S.A.W. ka tha ya nhi? isi trha amal krny sy pehly ye dekha jaye k kiya ye amal Nabi S.A.W. ny kia ya nhi? agr kia hy to kesy kia hy? nhi kia to deen kesy ban gya? kiunky deen to 1422 saal pehly mukammal ho chuka hy. ALLAH Pak ny Quran e Majeed mein farmaa diya: "aaj k din mainy tumhary liye tumhara deen mukammal kr diya, or apni naimat tum pr poori kr di, or tumhary liye Islam ko bator e deen pasand kiya." (Sorat ul Maidah, Ayat No:3) is ayat sy humain pta chalta hy k deen mukammal ho chuka hy, is mein kisi qisam ki kami nhi hy, lehaza agr aaj koi shakhs nya kaam aijaad kr k usy deen ka naam dena chahy to wo hargiz deen nhi ho skta. jis ny Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ko chhor kr kisi or ki baat ko deen ki daleel k tor pr maana, goya us ny apny amal sy Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki bajaye us shakhs ko Rasool bana liya. us k dil mein Muhammad S.A.W. sy zyada us shakhs ka martabah ho gya jis ki waja sy us ny Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki baat ko chhor kr us shakhs ki baat maan li, phir chaahy wo shakhs kitna hi bara wali, peer ya hazrat hi kiun na ho, pr Rasool to nhi k Rasool ki bajaye us ki baat maani jaye. yaad rkhiye! is kainaat mein hr insan sy ghalati ho skti hy, pr Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. sy ghalati nhi ho skti. ye hamara eimaan hy. Quran e Kareem mein ALLAH Pak farmaata hy: "or wo (Nabi S.A.W.) apni marzi sy nhi bolty, ye kalam magar wahi hy jo naazil ki jaa rhi hy. (Soratun Najam, Ayat No:3-4)" yani Nabi S.A.W. apni marzi sy nhi bolty, ye jab bhi deen ki baat krty hain to wohi kehty hain jo ALLAH ny in ki taraf naazil kiya hy. to aisy Kaamil or Akmal Nabi S.A.W. ki baat ko chhor kr kesy kisi or ki baat ko maana jaa skta hy?
doosri jaga ALLAH Pak ka Irshaad hy: "yaqeenan tumhary liye Rasool Ullah S.A.W. ki zaat mein behtreen namoona hy, hr us shakhs k liye jo ummeedwar ho ALLAH ka or Roz e Aakhirat ka or ALLAH ka zikar krta rehta ho. (Sorat ul Ahzaab, Ayat No:21) ab yaad rkhiye k Aaqa A.S. ny is deen pr humain mukammal amal kr k dikha diya. Deen ki koi baat aisi nhi jo hum sy chhupai ho, na hi sawab ka koi aisa kaam hy jis ka treeqa humain na btaya ho or na hi jannat mein jaany ka koi aisa rasta hy jo humain na btaya ho. lehaza humain aisy tmam kaamon sy buchna chahiye jinhen hum deen to smjhty hain lekin Islam (Quran o Hadees) mein us ka koi saboot nhi. Mukammal Deen, Quran or Hadees hai. Teesra koi zariya nhi hy jis sy Islam ka tasawwur bhi haasil kiya jaa sakay.
ALLAH Pak sy dua hy k wo humain Kalmay k Taqazay poory kr k sucha Musalmaan ban-ny ki taufeeq ataa frmaye. Humaray tmam gunahon ko muaaf frma kr hum pr rehem frma dy or humain hr kaam mein Pyaray Aaqa Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki sunnat pr amal krny wala bana dy. ALLAh Pak humain wo hidayat naseeb frma dy jo hidayat us ny apny Mahboob Nabi S.A.W. ko dy kr is dunia mein bheja tha.
Ameen...
Wa'Assalam .......!!
Please Forward To All Muslims This Knowledge JazakALLAH
No comments:
Post a Comment