Urdu News

Urdu Now

Aurat Aur Parda

Dec 29, 2014

Asslam-o-Alikum!

"Musalman auraton se kaho k wo bhi apni nigahain neechi rakhain or apni asmat mai farq na anay dain.or apni zeenat ko zahir na karain.siwaye is k jo zahir hai or apnay giraybaanon or apni orrnhiyon ko bukkal maray rahain or apni aarayish ko zahir na karain siwaye apnay khaawandon k ya apnay waalid k ya apnay khussar k ya apnay larrkon k ya apnay khawandon k larkon k ya apnay bhaiyon k ya apnay bhatijon k ya apnay bhanjon k ya apnay mail jol ki auraton k ya ghulamon k ya aisay nokar chaakar mardon k jo shahoot walay na hon ya aisay bachon se jo auraton ki baaton se mutlaa na hon or is tarha zor zor se paaon maar ker na chalain k unki posheeda zeenat numayan ho jaey.ae musalmano! tum sab ALLAH ki janab mai toba karo ta k tum nijaat paao."
SURAH NOOR:31

ISLAM wo wahid deen hai jissnay aurat ko ehtraam_o_zzat ka taaj pehnaya.warna islam se pehlay dor_e_jahaliyat mai aurat ko manhusat ki alaamat samjha jata tha.or ye jaidad_e_manqula ki tarha kharidi or bechi jati thi.aaj b boht se ghair islami mumalik mai aurat ki bay_hurmati ki jati hai.aurat k jism ka har hissa tash'heer or akhbarat,t.v,sighn boards ki zeenat bana diya gya hai.aaj b haquq_e_niswaan ki modrn alam_bardaar tanzimain aurat ki azaadi k naam per bay_hayaai or jahaalat k banners uthaye phirti hain.aurat ki azadi ko bas ghar se nikelna or adhay libaas pehan kar apni numayesh kernay tak mehdud kernay wali ye nam nihaad tanzimain asal mai auraton k taqaduss or or islam mai unko diye martabay se ghaafil hain.zarurat hai k aurat ko uskay buland rohaani or aala ikhlaaqi muqaam se ba_khabar karaya jaey.jo sirf or sirf islam hi aurat ko day sakta hai.
duniya mai aaj bhi muslim khawaatin ka parda sab se zyada qabil_e_ehtraam or sharafat_o_hayya ki alamat samjha jata hai or yehi wajah hai k islam' kaafir or munafiqeen ki nazar mai khattak raha hai.

BAY_PARDAGI KI WAJOOHAAT:
1_ Emaan ki kamzori ki wajah se aaj musalmaanon k dillon se khaof_e_akhrat ja raha hai.or yehi musalman log aaj apni bahu,betiyon,biviyon or maaon behnanon k sath b bay parda ghoomnay or mardon ki ghair makhloot majaalis mai lay janay ko fashion or azaadi ka naam detay hain.

2_tarbiyat ki kammi ki wajah se aaj walidain or behan bhaiyon k sath beth ker ghair ikhlaqi or be_pardagi walay kaam,mehfilain,filmain,rasaalay or bay huda rasm_o_riwaj or Co_Education k nam per taleem shitani fitnay ka firogh ban rahay hain.

POORAY JISSM PER CHAADAR ORRHNA:
"ae Nabi sww! apni biviyon,sahabzadiyon,or doosray musalmanon ki biviyon se keh do k wo apnay say apni chaadarain itni neechi kar liya karain k wo un se pehchan li jayen ta,k unko taklif na di ja sakay.or ALLAH bakhshanay wala or reham kernay wala hai"..
SURAH AHZAAB:59

ye JALBAB ka hukm hai.jalbab se murad wo chadar hai jiss se poora jism chup jaey.ehad_e_nabvi sww mai isi chadarka istimal tha or aaj ye khubsurat BURQAY ki shakal ikhtiyarkar gayi hai.

BURQAAH:
Chehre k sath parda hi asal parda hai.

"Umm_ul_MOmineen Ayesha (R.A) farmati hain k mai apnay safar ki manzil pay bethi thi k aankh lag gayi.or mai so gayi.Hazrat Saffwan_bin_muatal r.a foj k pichay arahay thay.raat k akhir ko chaltay chaltay subha wo meri manzil per phnchay or aik soye huay admi ka saya dekh ker meray qarib aye.or mujhay dekh ker pehchan gaey kiu k hijjab ki ayat nazil honay se pehlay wo mujhay dekh chukay thay.mujhay pehchan ker unhon ne Inna Lillah parha to unki awaz se mai jag gayi or chadar se moonh chupa liya"..
BUKHARI_KITAB_UL_TAFSEER-HADEES 4750

"Hazrat Ayesha r.a farmati hain k safr_e_hajj mai jab ham ahraam bandhnay ja rahi hotin to jab b hajjaj k qafilay hamaray samnay se guzertay to ham chehray per chadar khainch liya karti thin.or jab qafilay guzar jatay to phir ham chehray khol letin"..
SANAN_ABI_MAJA-KITAB_UL_MANASIK-BAAB_UL_MEHRMAAT-HADEES 2935.

"Isma_bint_abi bakar farmati hain k ham mardon ko samnay dekh ker chehray dhaanp liya karti thin".
SAHI_IBN_E_KHAZEEMA-PAGE 203

islam mai chehra chupana aik behtreen fail hai.aap ghor farmayen k jab aurat ko gardan or seena chupanay ka hukm diya gya hai to chehra chupanay ka hukm to awwalin hona chahiye kiu k jo log khubsurati k talib hotay hain wo chehra pehlay dekhtay hain.agr chehra khubsurat ho to baqi ko khas ehmiyat nahi di jati.jab b ham kisi k baray mai ye kehtay hain k ' wo khubsurat hai ' to iska matlab hai k uska chehra khubsurat hai.lehaza behtreen parda sirf Hijjab nahi bal'k Chehra ko Chupana hai.

ZEENAT:
"Apni zeenat ko khulla na rakhain"..
SURAH NOOR:31

"or apnay gharon mai thehri rahain or pehlay dor_e_jahiliyat ki tarha bay_parda na phirain"..
AL_AHZAAB:33

yahan zeenat se murad wo bharrkilay ya tang_o_bareek libaas hain jinsay jism k nashaib_o_faraz ka andaza kag sakay.

MARD K LIBAAS SE MUMASILAT:
"Nabi sww ne uss aurat per laanat ki hai jo mardon ka libaas pehnay"..
ABU_DAUD.KITAB_U_LIBAAS.HADEES 4098


"wo aurat ham mai se nahi jo mardon ki mushabihat karay"..
MASNAD AHMAD.PAGE 200

AANKHON KA PARDA:
"Aap sww musalman auraton se keh dain k wo apni nigahain neechi rakhain"
SURAH NOOR:31

"Huzaifa r.a se riwayat hai k Nabi sww ne farmaya k NIGAAH ' iblees k zehar alud teeron mai se aik teer hai.jo isay meray khaof se chor day ga mai usko meray khaof se aisa eman ata karu ga k jiski mithaas wo apnay dil mai mehsus karay ga"..
MASTADRAK HAAKIM.PAGE 314

AURAT KA KHUSHBU LAGAANA:
"aurat k liye khushbu laga ker ghar se nikelna jayez nahi.jo aurat aisa kerti hai wo bad_kaar hai"..
TARMAZI.HADEES 2786
SANAN_ABI_DAUD.HADEES 4173

jahiliyat mai wo tamam awaamil shamil hain jin k karnay per aurat per lanat ki gayi hai.jesay Aazaa ki numayish,bharkilay libas,ya intihayi tang libas ya intihayi bareek libas jisko pehan ker aurat ka jism b dikhai day.or mardana libas jis se aurat k aurat honay ka maqsad hi fot ho jaye.ye tamam af'aal haram hain.aaj kal muslim socity mai aik nyi beemari dekhnay mai milti hai k burqah to arrha jata hai mgr itna tang_o_chustk burqa ki apni amli hasiyat hi khatam kar di jati hai.ya phir chadar is tarha orrhi jati hai k sar to dhaanp lya jata hai mgr jism numayan kya jata hai.ye sab milawat hai.dhoka hai.jo k haqiqat mai khud ko or ALLAH ko dhoka denay k mutradif hai.ham parda to ker rahay hain mgr aisay parday ki na koi shar'ai haisiyat hai na hi muasharti.

"Ae adam ki olaad! hamnay tumharay liye libas peda kiya jo tumhari sharam gaahon ko chupata hai or mojab_e_zeenat b hai.or taqwa ka libas sab se barh ker hai"..
AL_AIRAAF:26

mai apni tamam muslimah behnon se kehna chahun gi k parda ko apni naik niyati or khuloos samajh ker istimaal karain na k apnay oper aik pabandi samajh ker.aaj kal boht sari muslimah behnain aisi hain jo khud per jabbr kar k parda karti hain.ya unkay parday ki wajah unkay ghar walon ki sakhti hoti hai.bay shak ghar walo ko chahiye k unko parday ka hukm dain mgr sirf sakhti se nahi bal k samjha ker.deen ki taraf la ker.unko btayen k aik momina or or ghair musli aurat mai kya farq hota hai.unki rughbat quran-o_deen ki taraf dilayen.aaj kal muasharti bay raah_o_rawi ki sab se bari wajah yehi hai k khud walaidain or ghar walay hi deen se door hain.to wo kya taleem dain gay apni beti ko deen ki.aaj kal aik or beemari aam hai k jab b kisi behan se parday ki bat ki jaey to aik hi ratta hua jwab aksar milta hai."parda to aankh ka hota hai"."sari baat niyat ki hoti hai"."aaj kal to parday waliyan zyada kharab hain" etc etc.ye sab jahilana or munafiqaana rawaiye hain.or in sab ki wajah hai deeni ilm ki kammi.
aik momin wohi hai jo ALLAH or uskay RASUL sww ne keh diya usko manay.momin ALLAH or RASUL sww k hukm k saminay gardan jhukata hai or iblees keeray nikalta hai.
meri apni tamam muslman behnaon se iltmaas hai k QURAN o SUNNAT ki taleem khud b seekhain or doosron ko b sikhayen.or islami shariyat or parday ki pabandi ker k apni muslimah honay ka saboot dain.
aik aurat aik ghar ki aik khandan ki aik nasal ki zimadar hoti hai.agr aurat sanwar jaey to nasal sanwar sakti hai..

"duniya ka sab say behtareen sarmaaya NAIK AURAT hai".. (MUSLIM)

Wa'Assalam .......!!

Please Forward To All Muslims This Knowledge JazakALLAH

No comments:

Post a Comment

Ads