Asslam-o-Alikum!
Kisi Bhi Amal Ki Kamyabi 2 Baton Per Hai Pehli Yeh Ke Jo Amal Kiya Ja Raha Hai Woh Khalis Allah subhanahu watala Ke Liye Ho Aur Tareeqa Rasool SAWW Ka Ho. Jitne Bhi Ambiya ikram Aayein Hain Un Sabki Pehli Dawat Dawat-E-Touheed Thi, Hamare Aakhri Nabi Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ne Bhi Apni Makki Zindagi Main Dawat-E-Touheed Per Hi Sabse Zyada Kam Kiya, Isliye Ke Touheed Ke Bina Koee Bhi Amal Allah subhanahu watala K Yahan Qabile Qabool Nahin Hota.
Agar Koee Insan Allah subhanahu watala Ke Sath Shirk Karta Hai Uske Baad Woh Kitni Bhi Namaze Parhe Kitne bhi Roze Rakhe Uska Yeh Amal Qabile Qabool Nahin Ho Sakta. Isliye Sabse Aham Cheez Insan Ka Aqeeda Hai. Aqeeda Khalis Hoga To Allah subhanahu watala Doosre Jis Gunah Ko Chahega Maaf Kar Dega Lekin Agar Hamne Allah subhanahu watala Ke Sath Shirk Kiya To Phir Hamari Nijat Nahin Ho Sakti.
Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ne Mushrekeen E Makkah Se Gazwat Q Kiye ?
Makkah ke Mushrik Allah subhanahu watala Ko Apna Rub Mante The Lekin WOh Allah Ke Sath Shirk Bhi karte The Isliye Unko Mushrik Kaha Gaya Woh Allah Ke Sath Doosron Logon Ko Sifarshi Banate The Iski Sari Tafseel Quran Main Mojood Hai or Allah Ne Quran Main Mushrekeen Ki Har Baat Ka Jawab Diya Hai.
Doosri Jo Baat Amal Ki Qabuliyat Ke Liye Lazim Hai Woh Hai Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ka Tareeqa. isliye Ke Allah subhanahu watala Ne Rasool sallallaho alyehi wasallam Ki Itteba Karne Ka Hukum Diya Hai (Surah nisa – ayat no – 33, 80. Surah najam – ayat no. 3)
or Allah ne Hamari Kamyabi Rasool sallallaho alyehi wasallam Ke Tareeqe Main Rakhi Hai. (Surah noor – ayat no – 51, 52. Surah ahzab – ayat no – 71, surah nisa – ayat no - 13)
Agar Hamne Rasool sallallaho alyehi wasallam Ka Tareeqa Chhorh Kar Kisi Aur Ka Tareeqa Apnaya To Woh Allah subhanahu watala Ke yahan Qabool Nahin Ho Sakta. (sahi Bukhari - kitabun nikah)
Ab Hum Sab Khud Sochein Aur Quran Ahdees Ki Roshni Main Sab Apne Iman Aqeede Aur AMal Ka Jayza Lein.
Hum Yeh Check karein Ke Kya Hamara Aqeeda usi Tarhan Hai Jis Tarhan Rasool sallallaho alyehi wasallam Bata Kar Gaye The ?
Kya Rasool SAWW Ke Zamane Main Woh Sab Hota Tha Jo Aaj Hum Deen ke Naam Per aaj Karte Hain ?
Jo Hum Karte Hain Aur Jo Hum Mante Hain Agar Wesa Hi Quran Ahdees Main Hai To Samajh Lein Ke Alhamdolillah Hum Sahee Raaste Per Hain. Lekin Agar Hamara Aqeeda Hamara Amal Us Tarhan Nahin Hai Jaisa Rasool sallallaho alyehi wasallam Farma Kar Gaye The To Phir Hamein Badalna Hoga Isliye Ke Deen Wohi Hai Jo Rasool sallallaho alyehi wasallam Bata Kar Gaye Aur Alhamdolillah Rasool sallallaho alyehi wasallam Kamil Deen Dekar Gaye The Na Ab usme Koee Kami Hogi Aur Na Koee Zyadti.
Bus Itni Guzarish hai ke Doston Ho Sakta Hai Hum Ghalat Raah Per Ja Rahe Hon Abhi Hamare Paas Waqt Hai Isse pehle Ke Yeh Waqt Khatam Ho jaye Hum Apne Aapko Check karlein. Dunia Ki Chhoti Si Cheez Jab Hum Khareed Ne Jate Hain To Hum Bahot Bareeki Se Har Cheez Ki Janch Karte Hain ke Kahin Hamein Koee Duplicate Cheez Na De Di Jaye, Lekin jab Deen Ka Maamla Aata Hai To Hum Phir,
Kyon Tehqeeq Nahin Karte ?
Hum Yeh Kyon Nahin Sochte Ke Agar Allah na Karey Hum Ghalat Raaste Per Hote Hue is Dunia Se Chale Gaye To Hamara Maamla Phir Kya Hoga?
Kya Phir Koee Aalim Murshid Koee Imam Hamari Madad Kar Sakega ?
Hum Aaj Andhi Taqleed Main Is Qadar Doob Chukein Hain Ke Dekhna Hi Nahin Chahte Ke Allah Aur Rasool sallallaho alyehi wasallam Ka Farman Kya Hai. Hamein jo Bata Diya Jata Hai Aankhein Band Ki Aur Hum Usko Hi Sahee Maan Lete Hain.
Aur Agar Koee Insan Kehta Hai Ke Aapka Yeh Amal Quran Ahdees Ke Khilaf Hai To use Jawab Milta Hai Ke Hamare Aalim Aapse Zyada Jante Hain. To Un Logon Se Ek Sawal Hai Kya Aalim Sirf Ek hi Firqe Ke Paas Hain ? Aalim To Har Jamat Har Firqe Main Mojood Hain or Har Koee Apne Aap Ko Hi Huq Per bata Raha Hai. Aur Doosri Taraf Sabko Yeh Bhi ILm Hai Ke Rasool sallallaho alyehi wasallam Farma Kar Gayein Hain Ek Firqa Hi jannati Hoga. Aur Woh Firqa Hoga Jo Quran Sunnah Per Hoga. (Abu dawoo, tirmizi)
To Doston kya Yeh hamari Zimmedari nahin banti Ke Aise Mahol Main Jab Sab Apne Aapko Huq Per Bata Rahein Hain Hum Tehqeeq Karein Aur Dekhein Ke Aakhir Huq Kiske Paas Hai?
Ek Chhoti Si Baat Ek Musalman Kisi Masle Per Fatwa Lene Jata Hai To Use Hamare mulkon Main Alag Alag Maslak ke Mutabiq Fatwa Diya Jata Hai. Koee Baat Agar hanfi Maslak Main Jayaz Hai To Kisi Doosre maslak Main Wohi Baat haram Aur Najayaz Ban Jati Hai.
Aap khud Sochiye Ek hi Masle Per Alag Alag Fatwe Alag Alag Raye. Jabke Rasool sallallaho alyehi wasallam To Ek Tareeqe per Sab Ko Chhor Kar Gaye The, wo tha Quran hadees (Moatta imam malik)
Ahle Bait Sab Sahaba Kiram Ka Tareeqa bhi Ek Hi Tha. Har Masle Main Quran Aur Farman E Rasool SAWW Ki Baat Mani Jati Thi. Phir Aaj Hum Kyon In firqon Main bat Gaye Hain ?
Kya Allah subhanahu watala Ne hukum Nazil Kiya Ke Hum Apne Apne Alag Alag Imam Bana Kar Firqon Main bat Jaein ?
Kya Rasool Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ka Farman Tha Ke Mere Baad Alag Alag Imam Bana Lena?
Jitna Main Janta Hoon Aur Samjha Hoon To Aisa Koee Farman Quran Ahdees main nahin Hai. (beshak) Allah Ne To Rasool Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ki Itteba Karne Ka Hukum Diya Hai Kisi Imam Ki Taqleed Karne Ka Nahin. Hamari Nijaat Aur Kamyabi Rasool SAWW Ki Itteba Karne Main Hi Hai.
Jab Kalma Hamne Rasool E Mohatram Mohammad sallallaho alyehi wasallam ka Parha Hai To Phir Baat Bhi hamein Rasool Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ki Maan Ni paregi.
Agar Yeh kaha Jaye Ke Sare Imam Huq Per The To Beyshak Woh Huq Per The Aur Sare Imamo Ne Deen Ki Bahot Khidmat Ki Hai Unki Mehnatein Sar Aankho Per. Lekin Hamein Yeh Bhi yaad Rakhna Chahiye ke Woh Insan The Woh Masoom Nahin The Woh Ambiya nahin The. Ghaltiyan Unse Bhi Ho Sakti Hain Aur Har Imam Ne Yeh Farmaya Hai Ke Logon Jab Rasool SAWW Ki Sahee Ahdees Samne Ajaye To Hamari baat Ko Chhorh Dena.
Imam abu hanifa rh. (mizanusherani, - uqdul jayyad.pg. 53, 70. - Zafraul ma’ ani)
Imam malik rh. (uqdul jayyad.pg.70, jalbul mun fa’ata.pg.74)
Imam shafayee rh. (uqdul jayyad.pg.54, 70)
Imam ahmaed bin hambal rh. (uqdul jayyad.pg.54, 70)
Har Imam Ka Iman Quran Ahdees Per Tha Aur Woh Isi Ko Follow Karte The Kisi Imam ne yeh Nahin Kaha Ke meri Taqleed Karna. Ikhtelaf Sahaba Kiram Ke Dour Main Bhi hue Lekin Jab Rasool sallallaho alyehi wasallam Ka Farman Samne Aata Tha To Sare Ikhtelaf Door Ho Jate The. Aaj Bhi Yehi Baat Hai Agar Hum Logon Main Ikhtelaf Hai To Hum Quran Ahdees Ki Roshni Main Dekhein Ke Kis Ki Baat Sach AUr Huq Per Hai. Agar Hamein Apas Main Ittehad Aur Ittefaq Chahiye To Hamein Quran Aur Sunnah Per jama Hona Hoga.
Ek Baat Poochta Hoon Agar Koee yeh Kahe Ke Sab Imam Abu Hanifa Ke Naam Per jama Ho Jao ?
To Aap Bataein Kya Sare Musalman Imam Abu Hanifa R.A. Ke Naam per Jama Ho Sakte Hain ?
Nahin Ho Sakte Jo Doosre Imamo Ko Follow Karne Walein hain Woh kabhi Razi Nahin Honge Isi Tarhan Imam Jafar Sadiq R.A. Ke Naam per Bhi Sare Musalman Jama Nahin Ho Sakte Kehne Ka Matlab Yeh Hai Ke Aap Kisi Bhi Ek Imam Ke Naam Per Sabko Jama Nahin Kar Sakte.
Hum Sab Musalman Jis Ek Naam Per Jama Ho Sakte hain Woh Hain Mohsin-E-Insaniyat Imam-E-Azam Hazrat Mohammed Rasool sallallaho alyehi wasallam,
Yehi Woh Shakhsiyat Hain Jis Per Tamam Musalman Ek Ho Sakte Hain. Hamein Rasool sallallaho alyehi wasallam Se Sachi Moahabbat Hai To phir Hamein Aap SAWW Ki Baat Ko Apne Imamo Apne Alimo Se Ooper Rakhni Hogi. Agar Hum Mohabbat Ka Dawah karte Hain To Phir Hamein Yeh Mohabbat Sabit Bhi Karni Hogi Sirf Zaban Se Rasool sallallaho alyehi wasallam se Mohabbat Ka Dawah karna Kaafi nahin Apne har Faisle Har Maamle Main Hamein Rasool SAWW Ki Itteba Karni Hogi. (surah nisa - ayat no - 65)
Agar Hamein Rasool SAWW Se Sachi Mohabbat Hai To Jab Rasool sallallaho alyehi wasallam ka Farman Samne Aaye To Phir Hum Yeh Na Bolein Ke Hamare Imam Ke Nazdeek Yeh Baat Is Tarhan Hain AUr Hum Falan Imam Ko maan Ne Walein hain Isliye Hum Aesa Karte Hain. Agar Hamne Aisa Kiya To Phir Yaqeen Kijiye Hamne Rasool sallallaho alyehi wasallam Se Mohabbat Ka Huq Ada Hi Nahin Kiya.
Agar Main Ya Koee Aur Bhi Aapse Koee Baat kehta Hai to Use Quran Ahdees Ki Roshni main Dekhein. Koee Insan Aapko yeh Bolta Hai ke Bhai Yeh Jo Aap kar Rahe Ho yeh Quran Ahdees ke Mutabiq Nahin Hai To Uski Baat Ka Bura Maan Ne Ki jagah Us Baat Ki Tehqeeq Karein. Alhamdulillah Quran Ahdees Mojood Hain Sache Dil Se Tehqeeq Karenge To Huq Baat Insha Allah Zaroor Malum Hogi.
Agar Aap Logon main Se Kisi Ko Mera Aqeeda Mera tareeqa Meri kahi Huee Baat Quran Ahdees Ke Khilaf Lagti hai To Please Mujhe Zaroor Bataein Meri baat Ko Point Out Karein Main Aapka Shukriguzar rahunga Aur Agar Mera Aqeeda Meri Soch Quran Ahdees Ke Khilaf Huee To Rab-E-Kareem Ki Qasam Hai Ek Min Nahin lagega Mujhe Apne Aapko Change Karne Main. Yehi Meri Sabse Request Hai ke Doston Jab Koee Baat Batayee Jaye To Us Per Bura Na Maana Karein Yahan Per Hum Ek Doosre Ke Dushman Nahin Hain. Hum Hi Ek Doosre Ki Islah kar Sakte Hain.
Allah subhanahu watala Ne Farmaya Hai Jiska Mafhoom Hai "Tum Behatreen Ummat Ho Jo Logon Ko Burai Se Rokte Ho AUr Bhalayee Ka Hukum Dete Ho " (surah ale imran - ayat no - 110)
Allah Allah subhanahu watala Hum Sabko Aisa Bana De. Aameen ya rabbal aalameen
Rasool sallallaho alyehi wasallam Ki Hadees Ka Mafhoom Bhi hai ke Jahan Burai Dekho Taqat Hai To Use Hath Se Roko Nahin To zaban Se Bura Kaho Itna Bhi Nahin Hai To dil Main Bura Samjho Use (nasayi, musnad ahmed).
Please Thori Dair Ke Liye Thande dimagh Se Sochiye. Jab Hamara Deen Ek Hai Rasool Ek Hain To phir Hamare Aqeede Aur Hamare Amaal Is Qadar Alag Alag Kyon Hain ?
Mohammad sallallaho alyehi wasallam To Ek Shariyat De Kar Gaye The Aur Aap Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ke Farman Ka Mafhoom Hai Ke Main Tumhe Us Shah Raah per Chhor Kar Ja Raha Hoon Jiski Raate Bhi Din Ki Tarhan Roshan Hain. (Muslim, Abu dawood)
Jab Allah subhanahu watala Ne Hamein Itna Roshan Deen Diya Hai To Phir Hum Q Nahin Samajhte ? Allah subhanahu watala Ne Hamein Andhere Main Nahin Chora Hamein Quran o hadees Diya or Quran hadees Ko Kis Tarhan Samajhna Hai Us Per Mohammad sallallaho alyehi wasallam Ne AMal karke Dikhaya.
Ab phir Kya Reh Jata Hai ?
Kya Hamare Liye Quran Aur Farman_E_Rasool Mohammad sallallaho alyehi wasallam Kafi Nahin ?
Ek Misaal Lelijiye Agar Pakistan Main Islami Shariyat Nafiz Hoti Hai To Konse Imam Ki Fiqah Nafiz Ki jaygi ?
Kya Sare Log Kisi Ek Imam Per Razi Ho Jaeinge?
Dosre To Chhoriye Hanafi logon Main Bhi do Barhe Firqe Hain Ek Hain Barelvi Doosre Hain Deobandi Kya Yeh Dono Har Baat Per Ek Ho Jaeinge?
Jabke Ham Sabko Pata Hai ke Barelvi or Deobandiyon Main Kis Qadar Ikhtelaf Hai. Shariyat To Bus Wohi Hai Jo Mohammad sallallaho alyehi wasallam Dekar Gaye Usi per Hum Ek ho sakte Hain. Aur Jab Tak Hum Ek Nahin Honge Hamare Halaat Sudharne Wale Nahin, Zaroorat Aaj isi Baat Ki Hai ke Hamare Andar Ittehad Ho Ittefaq Ho. Tab Hi Hum dushman Ka Muqabla Kar Sakte Hain. Baat Bahot Lambi Ho Gayee Isliye Maazrat Chahta hoon.
Ek Bhai Aur Dost Ki Hasiyat Se yeh Sab likha Achi Baat lagi Ho to please Ek Baar In Sab Baton per Ghour Zaroor Kijiye. Aur Kisi Ki Meri Baat Se Dil Azari Huee Ho To Main Maafi Chahta Hoon. Mera Maqsad Yahan per Kisi Ki Dil Azari nahin Hai.
~~Aao Sab Ek Ho Jaein~~
~~Aao Musalman Ho Jaein~~
~~Aao Mohammadi Ban Jaein~~
Aaj hum Har Jagah Sataye ja Rahe Hain Har Jagah Hamein Hi Maara Jata Hai Aaj Lanat Hum per Musallat Ho chuki Hai. Abhi Waqt Hai Allah subhanahu watala Se Apne Gunaho Ki Maafi Mange. Aur Sabse Barha Gunah Allah ke Sath Shirk Hai. Kya Hamein Nazar Nahin Aata Ke Hamare Mulko Main Kis Qadr Shirk Kiya Ja Raha Hai ? Aaein Aawaz Buland Karein Iske Khilaf Allah Ki Zameen Ko Shirk Se Paak Karein. Allah subhanahu watala Shirk Karne Walon Per Rehmatein Nazil Nahin farmata Waqt Hai Abhi Sabhal Jaein Hum.
Allah subhanahu watala Hamein Aisa Bana De Ke Hum Allah ki Touheed Aur Rasool SAWW Ki Risalat Main Kisi Ko Shareek Na Karein. Aameen Ya Rabbul Aalameen Khush Rahein Sab Dost
Wa'Assalam .......!!
Please Forward To All Muslims This Knowledge JazakALLAH
No comments:
Post a Comment