Urdu News

Urdu Now

ALLAH Aik Hai

Dec 29, 2014

Asslam-o-Alikum!
Aik sacha momin ye iqrar sirf zubaan se nahi bal'k dil-0-jan se kerta hai
or aik musalman honay k naatay ham per farz hai k ham apnay Malik apnay Lord ki wahdaniyat ko bina kisi shak-0-shubha k qubool karain or ye tasleem karain k us pak RAB ki zaat wahid hai.la shareek hai.uska koi ham'sar nahi.jab tak ham uski wahdaniyat per sachay dil se emaan nai latay tab tak ham islam mai dakhil ho hi nai saktay.
ALLAH pak apni wahdaniyat or apni infradiyat ki wazahat in ayaat mai ker raha hai

1-"bhala batao to k asmanon or zamin ko kisnay peda kiya hai?kisnay asman se barish barsai?phir uss se haray bharay ba-ronaq baghaat uga diye.in baaghon k darakhton ko tum har'giz nahi uga saktay.kya ALLAH k sath koi or Maabud b hai?bal'k ye log Haq se inhiraaf krtay hain.
(SURAH NAMMAL:60)

2-"bhala kisnay zamin ko qarar,gah banaya?0r uskay darmiyan nehrain jari ker din.0r uskay liye pahaar banaye or do sumandaron k darmiyan rok bana di.kya ALLAH k sath koi or mabood b hai?bal'k in mai se aksar kuch jantay hi nahi.
(SURAH NAMMAL:61)

3-"be-kas ki pukaar ko jab k wo pukaray to kon qubool ker k sakhti ko door kerta hai?0r tumhen zamin ka khalifa banata hai?kya ALLAH k sath koi or Mabood hai?tum boht kam nasihat hasil kertay ho.
(SURAH NAMAL:62)

4-"bhala kon hai jo tumhen khushki or tarri ki tarikiyon mai rah dikhata hai?0r jo apni rehmat se pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai?kya ALLAH k sath koi or Maabud b hai?jinhen ye Shareek kertay hain in sab se ALLAH buland-0-bala hai.
(SURAH NAMAL:63)

5-"bhala kon hai jo Makhluq ki awwal dafa pedayesh kerta hai?0r phir usay lotaaye (phir zinda) karay ga?0r kon hai jo tumhen asman or zamin se roziyan de raha hai?kya ALLAH k sath koi or Mabood hai?keh do k agr sachay ho to apni dalil laao.
(SURAH NAMAL:64)

6-"keh do k asmanon or zamin walon mai se siwaye ALLAH k koi ghaib nahi janta.unhain to ye b malum nahi k kab utha kharay kiye jayengay.
(SURAH NAMAL:65)

In ayaat mai ALLAH pak ne apni taqat or apni tamam sifaat ka itni wazahat se tazkra farma diya hai k koi b ba'shaur or ALLAH per bharosa krnay wala insan uski wahdaniyat or uski taqat mai shak ker hi nahi sakta.
or Allah tala un logon se farma raha hai jo k uski zaat mai shareek kertay hain k agr wo sachay hain to apni koi dalil layen.
mgr quran aik aisi jamay or dalayl se bharpur kitab hai k is jesi kitab to door aik ayat bnana b na mumkin hai
ALLAH farmata hai k agr ye quran wo pahar per nazil kerta to pahar reza reza ho jata.

Meray Behnon Or Bhaiyo:
Aik sacha or mukamal musalman honay ki pehli shart yehi hai k ALLAH pak ko aik yakta man'na or uski zaat or sifaat mai kisi ko shareek na kerna.

"Uska Koi Ham Sar Nahi"

Wa'Assalam .......!!

Please Forward To All Muslims This Knowledge JazakALLAH

No comments:

Post a Comment

Ads