Asslam-o-Alikum!
Janab Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mohabbat Iman Ka Juz Hai , Quran Aur Hadith Ki Roshni Se Zaroori Hai Ke Har Shakhs Ke Dil Main Janab Rasool E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mohabbat Apni Jaan Walid Ahlo Ayal, Maal Doulat, Aur Dunia Ki Sab Cheezon Se Zyada Ho.
" Keh Dijiye Agar Tumhare Baap Tumhare Bete Tumhare Bhai Tumhari Biwiyan Tumhari Biradri Tumhara Maal Jo Tumne Kamaya Hai Tumhari Tijarat Jiske Mand Parh Jane Se Darte Ho Tumhare Rehne Ke Makanaat Jo Tumhe Pasand Hain Allah SWT Uske Rasool SAWW Aur Allah SWT Ki Raah Main Jihad Karne Se Zyada Azeez Hai To INtezar Karo Yahan Tak Ke Allah SWT Apna Hukum Le Aaye, Aur Allah SWT Fasiqon Ko Hidayat Nahin Deta ( Surah Al-Touba-24) "
Ye Aayaat-E- Kareema Allah SWT Aur Uske Rasool Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mohabbat Ki Farizat Per Dalalat Karti Hai Aur Ye Mohabbat Har Azeez Aur Pyari Cheez Ki Mohabbat Se Barh kar Hai
Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Se Mohabbat Karne Se Hamein Kya Hasil Hoga?
" Ek Shakhs Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat Main Hazir Hua Aur Arz Kiya, Qayamat Kab Aayegi ?
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Toone Qayamat Ke Liye Kya Tayyar Kar Rakha Hai ? Usne Arz Ki Allah Aur Uske Rasool SAWW Ki Mohabbat,
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Beyshak Tu Usi Ke Sath Hai Jiske Sath Toone Mohabbat Ki ( Sahee Muslim 4/2032-2033 )"
Subhan Allah Isse Barh Kar Ek Musalman Ko Kya Chahiye ?
Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Se Mohabbat Ki Alamatein :-
Nabi Kareem SAWW Ke Deedaar Aur Sohbat Ki Shadeed Tamanna
Nabi Kareem SAWW Per Jaan Aur Maal Nichawar Karne Ke Liye Hamesha Tayyar Rehna
Aap SAWW Ki Sunnat Ki Himayat Aur Tayeed Karna , Aap SAWW Per Nazil Shariyat Ka Difah Karna , Bidaton Se Baaz Rehna ,Logon Ko Bhalayee Ka Hukum Dena Aur Burayee Se Rokna ....
Hum Sab Sochein Aaj Hum Kahan Hain ? Kya Hamari Mohabbat Sirf Zabani Nahin Reh Gayee Hai ? Kya Hum Us Mohabbat Ke Aas Paas Bhi Hain Jo Mohabbat Sahaba Kiram Ko Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Se Thi ?
Sahaba Kiram Ki Seerat Utha Kar Hum Dekhein Beshumar Waqiyat Mileinge Aur Mohabbat Ki Aisi Misaal Dunia Paish Nahin kar Sakti Jo Mohabbat Sahaba Kiram Ne Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Se Ki ..........
Hamne Bhi To Kalma Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Parha Hai ? Phir Hamare Dil Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Mohabbat Se Khali Kyon Hain ? Kya sirf Mohabbat Aur Ishq Ka Dawah kar Dena Kaafi Hota Hai ? Kya Hamein Nazar Nahin Aata Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Farman Kya Hain ? Kya Hum Nahin Jante Ke Agar Hamne Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Farman Per Kisi AUr ummati Ke Farman Ko Tarjeeh Di To Phir Dunia Aur Akherat Main Hamein Kabhi Kamyaabi Nahin Mil Sakti .........
Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Mission Yeh Tha Ke Logon Ko Kufr Aur Shirk Ki Tareekiyon Se Nikal Kar Noor-E-Touheed Ki Taraf laya Jaye, Ghair Allah Ki Bandgi Se hata Kar Bandon Ke Tanha Rubb Ki Bandgi Per Lagaya Jaye, Is Mission Ki Takmeel Ke Liye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne APni Tamam Quwwatein , Salahiyatein Tawanaiyan Sarf Kar Di, Isi Maqsad Ke Liye Apne Sare Auqaat ,Watan , Maal Aur Jaan Ko Laga Diya Kalma Allah Ki Sar Balandi Ke Aur Kufr Ko Khatam Karne Ke Liye Jihad karte Rahe, Deen-E-Huq Ki Baladasti Aur Adyaan Baatla Ko Mitane Ki Khatir Sari Zindagi Huq Ke Dushmanon Se Larhte Rahe Isi Mission Ko Poora Karne Ke Liye Sahaba Kiram Ne Apni Zindagiyan Qurbaan Kardi.
Aaj hum Sochein Hum Apne Deen Ki Sar-Bulandi Ke Liye Kya Kar Rahe Hain ?
Har Jagah Shirk Aur Kufr Ka Baazaar Garm Hai Lekin Hum Meethi Neend Soye Hue Hain ........ Jis Dawat_e_Huq Ke Liye Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Paak Lahoo Zameen per Gir Gaya Aap Ko Be-inteha Takleefe Di Gayee Hum Us Deen Ke Liye Kya Kar Rahe Hain ?
Kya hum Deen-E-huq Ki Mashriq Aur Maghrib Se Aane Wali Cheekh Aur pukar Ko Nahin Sun Rahe? Kya Shariyat-E-Islamiya Ki Dunia Ke Ghoshe Ghoshe Se Uthne Wali Sadain Abhi Tak Hamare Be-Hiss Kaano Se Guzar Kar Hamare Murda Dilon Tak Nahin Pohchi ? Is Pukaar Per Labbaik Kehne Wale Kitne Hain ?
Ayen Dua Karein Allah Ta'ala Ke Huzoor..... Ya Allah Hamein Shirk Bidat Ki Ghalazat Se Bachana Aur Hamein Ek Sacha Mohibbe-Rasool Bana Jo Rasool Ke Farman Per Apni Jaan Maal Sab Kuch Qurbaan karde.... Ya Allah Hamein Mujahid Bana .........Aameen Ya Rabbul Aalameen ..........!!
Wa'Assalam .......!!
Please Forward To All Muslims This Knowledge JazakALLAH

No comments:
Post a Comment