Urdu News

Urdu Now

Mazhab Aur Deen

Dec 29, 2014


Asslam-o-Alikum!

Arbi lughat mai MAZHAB ka matlab hai "Rasoomaat,chand ebadaat or Tareeqa" jab k DEEN ka matlab hai "Ebadaat,Ehkamaat,Muamlaat,Ikhlaqiyaat or Duniya-o-Akhirat k tamam Amoor ka majmooa"
Mazhab lafz Quran mai kahin istimaal nai hua jab k Deen Quran or Arbi adab mai bht jagah istmaal hua hai.
ISLAM:
Allah pak k namo mai se aik naam "SALAAM" bhi hai.jiskay maani salamti wala or salamti ata kernay wala hai. jis tarha ALLAH pak ki zaat qayam_o_dayam hai isi tarha DEEN _ E_ISLAM duniya o akhirat ki salamti faraham krnay ki zamanat deta raha hai or de raha hai or deta rahay ga.

ISLAM KA MAFHOOM:
"Ibrahim ka ye hal tha k jub unkay RAB ne unsay kaha "Muslim ho ja" to unhone foran kaha k mai malik e kayinat k tabay ho gya.iss tariqay per chalnay ki hidayat unhone apni olaad ko b di or isi ki wasiyat Yaqub apni olad ko ker gaye.usnay kaha "bacho! ALLAH ne tumhary liye yehi deen pasand kiya hai. lehaza mertay dam tak musalman hi rehna" (AL_BAQARAH:131.132)

ISLAM MAI TAABIYA_DAARI ZARURI HAI:

"Ae Eman walo! tum pooray k pooray Islam mai aajao.or shaitan ki pairwi mat karo k wo tumhara khula dushman hai" (AL_BAQARAH:208)

DEEN_E_ISLAM ka mutaliba hai k banda dil ki gehraaiyon se poora ka poora iss mai shamil ho jaye or iskay liye zaruri hai k jo DEEN E ISLAM mai kernay ka hukam hai wo kya jaye or jiski mumaniyat hai us se khud ko rok lya jaye..

ALLAH ham sabko DEEN E ISLAM ka mukamal hissa or paband bana Dai.
Ameen...

Wa'Assalam .......!!

Please Forward To All Muslims This Knowledge JazakALLAH

No comments:

Post a Comment

Ads