Urdu News

Urdu Now

Sadakkah Ehsan Nahi Hai In Urdu

Jan 7, 2015
Sadaka Ya Khairat Kisi Bhi Kisam Ki Razakarana Khidmat Hai Jo Ek Banda Apne Khuda Ko Razi Karne K Lye Deta Hai.......

Sadka Kisi Bhi Soorat Me Dya Jaskta Jesay Kisi Ko Pesay Dena Kapre Dena Muskura Dna Lekn Sb Se Bara Sadka Roti Ka Hota Hai Yani Kisi Bhookay Ko Khana Khilana...

Irshad E Rabbani Hai K"Aye Momino Apne Sadakat O Khairat Ehsan Jata Kar Aur Gareebo Ka Dil Dukha Kar Is Shaks Ki Trha Khak Me Na Mila Do Jo Mehaz Logo Ko Dikhane Ke Lyekharch Karta Hai"

Alla Ta'lla Ki Raha Me Jo Kharach Kya Jaye Wo Mehz Uski Khushnudi Aur Raza K Lye Kya Jaye Is Me Kisi Bhi Kisam Ki Lalch Ya Garx Na Ho, Riya Kari Achay Se Achay Amal Ko Bhi Khak Me Mila Deti Hai.Zakat Khulam Khula Di Jaye Jabkay Sadka Chupa Kr Dya Jaye Takay Zyadase Zyda Ikhlas Paida Ho.Allah Ta'lla Ki Nazar Me Usi Kam Ki Keemat Hai Js Me Ikhlas Ho Na Kay Dikhawa.Kayamat K Haibat Nak Madan Mejab Koi Sayya Nahi Hoga Allah Ta'lla Apne Un Bando Ko Saye Talay Rakhyga Jinho Ne Intehai Poshida Tareekay Se Allah Ki Raha Me Kharch Kya Yahan Tak Kbayen Hath Ko Ye Khabar Ni Hogi Ke Dayen Hath Ne Kya Kharch Kya.....

Sadka Sirf Aur Sirf Bari Ta'lla Ki Raza K Lye Dya Jaye Na Kay Dikhawe K Lye Taky Gareeb Aur Miskkeno Ki Zyada Se Zyada Madad Hosakay.Aur Khuda Pak Ki Raza Aur Khushnudi Bhi Hasil Hoskay.

No comments:

Post a Comment

Ads